safar se mujh ko bad-dil kar raha tha
bhanwar ka kaam sahil kar raha tha
wo samjha hi kahan us martabe ko
main us ko dukh mein shamil kar raha tha
hamari fath thi maqtul hona
yahi koshish to qatil kar raha tha
koi to tha mere hi qafile mein
jo mera kaam mushkil kar raha tha
wo Thukra kar gaya is daur mein jab
main jo chahun wo hasil kar raha tha
teri baaton mein yun bhi aa gaya main
bhaTakne ka bahut dil kar raha tha
koi mujh sa hi diwana tha shayad
jo virane mein mahfil kar raha tha
ye dil KHud-gharz dil gham-KHwar tera
KHushi gham mein bhi hasil kar raha tha
samajhta tha main sazish aaine ki
mujhe mere muqabil kar raha tha

Ghazal
Safar se mujhko bad-dil kar raha tha
Shariq Kaifi