اردو हिंदी
Safar se kis ko mafar hai lekin ye kya ki bas reg-zar aaen | Shaahi Shayari
safar se kis ko mafar hai lekin ye kya ki bas reg-zar aaen

Ghazal

Safar se kis ko mafar hai lekin ye kya ki bas reg-zar aaen

Rashid Jamaal Farooqi

;

safar se kis ko mafar hai lekin ye kya ki bas reg-zar aaen
kahin koi saeban bhi de ki gard-e-wahshat utar aaen

ye KHushk-sali ki muddaton se chaman mein aa kar pisar gai hai
kabhi to naKHl-e-murad jhume kahin to kuchh barg-o-bar aaen

zamin ki gul-posh bhi rahi aur falak pe qaus-e-quzah bhi jhumi
maze maze ki wo saaten thin chalo ye din bhi guzar aaen

idhar ye dil hai ki us ko bas ek junun ki dhun hai junun ki dhun hai
udhar hamara ye azm-e-paiham ki zulf-e-giti sanwar aaen

ye sun ke dekhen ki koi apnon ko kaise aaKHir pukarta hai
chalo ki apna hi nam 'rashid' kisi kuen mein pukar aaen