safar se aae to phir ek safar nasib hua
ki umr-bhar ke liye kis ko ghar nasib hua
wo ek chehra jo barson raha hai aankhon mein
kab us ko dekhna bhi aankh-bhar nasib hua
tamam-umr guzari usi ke kandhe par
jo ek lamha hamein muKHtasar nasib hua
hawa mein hilte hue hath aur nam aankhen
hamein bas itna hi zad-e-safar nasib hua
hua ke ruKH se pur-ummid tha bahut gulshan
par ab ke bhi shajar be-samar nasib hua
bulandiyon ki hawas mein jo sab ko chhoD gae
kab un parindon ko apna shajar nasib hua
labon se niklin idhar aur udhar qubul huin
kahan duaon mein aisa asar nasib hua
idhar chhupaen to khil jaen dusri jaanib
libas-e-zist zara muKHtasar nasib hua
'salim' chaaron-taraf tirgi ke jal ghane
pa hum ko neshtar-e-be-zarar nasib hua
Ghazal
Safar se aae to phir ek safar nasib hua
Saleem Sarfaraz