اردو हिंदी
Safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai | Shaahi Shayari
safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

Ghazal

Safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

Nizamuddin Nizam

;

safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai
jo luT chuka yaqin tha jo bach gaya guman hai

zamin ki kashish ka jal toD kar nikal gain
magar ye tai hai chiyunTiyon ki aaKHiri uDan hai

lahu ke nam likh diye hain tir abr-o-baad ke
zamin hadaf bani hui hai aasman kaman hai

wahi jo aadhi raat ko charagh ban ke jal uTha
kisi ki yaad ka nahin wo zaKHm ka nishan hai

mufahamat ke dew ka asir ho gaya 'nizam'
meri ana ka wo parind jis mein meri jaan hai