اردو हिंदी
Safar mujh par ajab barpa rahi hai | Shaahi Shayari
safar mujh par ajab barpa rahi hai

Ghazal

Safar mujh par ajab barpa rahi hai

Zia Zameer

;

safar mujh par ajab barpa rahi hai
meri wahshat mujhe chaunka rahi hai

kahin se aa rahi hai teri KHushbu
udasi dur hoti ja rahi hai

abhi tak KHud nahin samjhi hai jis ko
mujhe wo baat bhi samjha rahi hai

amiron ke bache TukDon ko chun kar
gharibi bhuk ko bahla rahi hai

mubarak sham ki aamad mubarak
kisi ki yaad le kar aa rahi hai

gai shab aankh mein jo mar gaya tha
udasi KHwab wo sahla rahi hai

bahut maghrur hai ye baadshahi
hamare ishq ko chunwa rahi hai

daraKHton par nae zewar uge hain
zamin dulhan bani sharma rahi hai

hamare darmiyan alfaz gum hain
KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi

bahut ummid thi is zindagi se
magar ummid ye murjha rahi hai

'ziya' jalwa hai 'nasir-kazmi' ka
ghazal ye KHud mujhe taDpa rahi hai