اردو हिंदी
Safar mein yaad na aae koi Thikana hamein | Shaahi Shayari
safar mein yaad na aae koi Thikana hamein

Ghazal

Safar mein yaad na aae koi Thikana hamein

Mohsin Ehsan

;

safar mein yaad na aae koi Thikana hamein
gham-e-zamana laga aisa taziyana hamein

amir-e-shahr ne kaghaz ki kashtiyan de kar
samundaron ke safar par kiya rawana hamein

jahan se sath zamane ko le ke chalna tha
wahin pe chhoD gai gardish-e-zamana hamein

har ek samt khaDi hain buland diwaren
tamam shahr nazar aae qaid-KHana hamein

muluk-e-ham-nafasan dekh kar ye dhyan aaya
ki kash phir mile dushman wahi purana hamein

hawa-e-subh-e-dil-azar itni tez na chal
charagh-e-sham-e-ghariban hain hum bujha na hamein

nigah paDti hai phir kyun parai shamon par
agar aziz hai 'mohsin' charagh-e-KHana hamein