safar mein rah ke aashob se na Dar jaana
paDe jo aag ka dariya to par kar jaana
ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka
kisi jagah se parindon ka kuch kar jaana
tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai
ki jaise chand ka talab mein utar jaana
tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki ek alamat hai
uThae sham-e-yaqin us ka dar par jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
har ek shaKH ko pahna gaya numu ka libas
safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana
hum apni sada-dili mein bhi be-misal rahe
jo ham-safar bhi na tha us ko rahbar jaana
Ghazal
Safar mein rah ke aashob se na Dar jaana
Alamtaab Tishna