اردو हिंदी
Safar mein koi rukawaT nahin gada ke liye | Shaahi Shayari
safar mein koi rukawaT nahin gada ke liye

Ghazal

Safar mein koi rukawaT nahin gada ke liye

Rais Amrohvi

;

safar mein koi rukawaT nahin gada ke liye
khula hua hai har ek rasta hawa ke liye

ye puchhti hai har ek subh aa ke mauj-e-nasim
koi payam kisi yar-e-ashna ke liye

tawaf-e-dair-o-haram se to ho chuke farigh
chalo ziyarat-e-yaran-e-ba-safa ke liye

main kyun na ba-sar-e-uryan phirun tah-e-aflak
ki faKHr hai sar-e-uryan barahna-pa ke liye

ye shahr shahr-e-baKHilan hai ai dil-e-bimar
yahan to zahr bhi milta nahin dawa ke liye

shikar DhunDh ke lai kahan kahan kahan se hayat
darinda-e-ajal-o-azdar-e-qaza ke liye

ajib baat ki manzil ka jab bhi qasd hua
bajae panw ke hath uTh gae dua ke liye

sitam-zarif zamane ne chun liya hum ko
girani-e-nafs-o-garmi-e-nawa ke liye

siwae kashti-e-langar gusista kya hogi
ghariq-e-bahr ki saughat na-KHuda ke liye

hamin mein kyun hadaf-e-tanz ai jamal-e-bahaar
sabhi ne phul chune the teri qaba ke liye

na zad-e-rah na rahbar na mezban na sarae
hum aise baadiya-gardan-e-be-nawa ke liye

jahan jahan bhi hue par-kusha hum ahl-e-zamin
zamin ke bojh hi sabit hue KHala ke liye