safar mein hi chhupi un ki KHushi hai
musafir ko masafat bandagi hai
nazar sab aa raha hai saf kala
andheron mein bhi kitni raushni hai
pareshan hun main din mein raushni se
to shab mein chandni pichhe paDi hai
udasi hai to phika rang lekin
ye mujh taswir ka ek rang hi hai
KHata is mein nahin hai aaine ki
ye sari gard chehron par jami hai
badan mera hai ek viran makan, par
makin ban kar ye wahshat rah rahi hai
gale lag kar mere sahra jo roya
jo baqi tishnagi thi bujh gai hai
zamin ke panw bhaari hain falak se
ye ukhDi an-mani rahne lagi hai
Ghazal
Safar mein hi chhupi unki KHushi hai
Puja Bhatia