safar mein dhup hai to saeban bhi hoga
zamin hogi jahan aasman bhi hoga
KHabar kahan thi ki ye ruh ek masjid hai
siyah wajud mein nur-e-azan bhi hoga
tere badan pe ye buDha safed sar kaisa
jadid bachche bata kya jawan bhi hoga
meri pasand ke afrad jis mein rahte hain
zamin pe aisa koi KHandan bhi hoga
suna hai shahr-e-KHamoshan mein aa gaya hun main
yahin kahin koi mera makan bhi hoga
wo mujh se bichhDa main ro-dho ke 'ashk' bhul gaya
pata nahin tha ki dil par nishan bhi hoga
Ghazal
Safar mein dhup hai to saeban bhi hoga
Parveen Kumar Ashk