safar mein ab ke ajab tajraba nikal aaya
bhaTak gaya to naya rasta nikal aaya
mere hi nam ki taKHti lagi thi jis dar par
wo jab khula to kisi aur ka nikal aaya
dukhon ki jhaDiyan ugti chali gain dil mein
har ek jhaDi se jangal ghana nikal aaya
ek aur nam juDa dushmanon ke namon mein
ek aur dost mera aaina nikal aaya
kuchh aaj ashkon ki lazzat nai nai si hai
purane gham ka naya zaiqa nikal aaya
ye mera aks hai ya aur hai koi mujh mein
ki jis ka qad mere qad se baDa nikal aaya
baDhe kuchh is tarah donon hi dosti ki taraf
ki darmiyan mein naya fasla nikal aaya
dua salam se aage jo thoDi baat baDhi
jo us ka dukh tha wahi dukh mera nikal aaya
meri ghazal mein kisi bewafa ka zikr na tha
na jaane kaise tera tazkira nikal aaya

Ghazal
Safar mein ab ke ajab tajraba nikal aaya
Rajesh Reddy