safar ki dhup ne chehra ujal rakkha tha
wo mar gaya to sirhane visal rakkha tha
hasin chehre kashida kiye the miTTi se
bala ka KHak mein husn o jamal rakkha tha
wo hashiyon mein tere surmagin mohabbat thi
ki aainon mein koi aks Dal rakkha tha
falak ki sans ukhaDne lagi to raaz khula
ki aasman ko zamin ne sambhaal rakkha tha
tera uruj tha suraj ke mand paDne tak
mere nasib mein shab sa zawal rakkha tha
hisar-e-KHwab se bahar kabhi nikal na sakun
bichha ke rah mein palkon ka jal rakkha tha
wo ek shaKHs jo waqt-e-zawal mujh se mila
sunahri aankhon mein us ki malal rakkha tha
kisi ko sahra-nawardi se ishq lahaq tha
kisi ko shauq ne ghar se nikal rakkha tha
usi ne zahr unDela hai meri nas nas mein
jo aastin mein ek sanp pal rakkha tha
Ghazal
Safar ki dhup ne chehra ujal rakkha tha
Sidra Sahar Imran