safar ke sath safar ki kahaniyan hongi
har ek moD pe jadu-bayaniyan hongi
gharib-e-shahr suKHan-ashna ko tarsenge
hum ahl-e-gham ke liye gham ki wadiyan hongi
tamam rasta kanTon bhara hai soch bhi le
qadam qadam pe yahan bad-gumaniyan hongi
bane banae hue raston ko DhunDenge
wo jin ke sath mein murda nishaniyan hongi
ragon se dard ka rishta bhi chhuT jaega
phir is ke baad sulagti KHamoshiyan hongi
Ghazal
Safar ke sath safar ki kahaniyan hongi
Khaleel Tanveer