safar ke naqshe mein chatiyal zamin banai gai
ki us mein ek bhi jhaDi nahin banai gai
ye sarhaden to bahut baad mein banin pahle
dilon ki tarah kushada zamin banai gai
ghuTe ghuTe se kai dost bhi to rahne hain
ye soch kar hi khuli aastin banai gai
ghazal ghazal mein baDa farq hai mere bhai
kahin utari gai hai kahin banai gai
kisi ne rangon mein 'rakib' gulab gundhe nahin
kisi se shakl tumhaari nahin banai gai

Ghazal
Safar ke naqshe mein chatiyal zamin banai gai
Rakib Mukhtar