safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun
andheri raat mein tanha main ab kidhar jaun
mujhe bigaD diya hai mere hi logon ne
koi KHulus se chahe to main sanwar jaun
meri judai mein guzri hai zindagi kaisi
ye ji mein aai hai is bar puchh kar jaun
bata tu kufr ka fatwa lagaega mujh par
KHuda main manun tujhe aur phir mukar jaun
tu sabz jhil ke pani mein DhunDta hi rahe
main chand ok mein bhar lun kamal kar jaun
bala ka KHauf thamaya hai aainon ne mujhe
main aks apna jo dekhun to jaise Dar jaun
Ghazal
Safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun
Sidra Sahar Imran