اردو हिंदी
Safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya | Shaahi Shayari
safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya

Ghazal

Safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya

Zafar Iqbal

;

safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya
jo chal paDe hain to ab rah mein Thaharna kya

jo dil mein gunjti ho aankh se jhalakti ho
kisi ke samne us baat se mukarna kya

inhi rawan dawan lahron pe zindagi kaT jae
ho tera sath mayassar to par utarna kya

mile na gauhar-e-maqsud Dub kar bhi agar
to lash ban ke phir us bahr se ubharna kya

jis aab-rud ki auqat chand qatre ho
to us ko phandna kya us mein panw dharna kya

jahan ghurur hunar-parwari ho pumba-e-gosh
wahan takalluf-e-arz-e-niyaz karna kya

fasad-e-KHalq bhi hangama didani tha 'zafar'
phir ek bar wahi shosha chhoD Darna kya