safar ka ruKH badal kar dekhta hun
kuchh apni samt chal kar dekhta hun
muqaddar phul hain ya Thokaren phir
kisi patthar mein Dhal kar dekhta hun
mujhe deti hai kya kya nam duniya
tere kuche mein chal kar dekhta hun
tapish bebakiyon ki kam ho shayad
lahu suraj pe mal kar dekhta hun
bharosa to nahin wade pe tere
magar phir bhi bahal kar dekhta hun
ye wo hain ya ki mera wahima hai
unhen phir aankhen mal kar dekhta hun

Ghazal
Safar ka ruKH badal kar dekhta hun
Ram Awtar Gupta Muztar