اردو हिंदी
Safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha | Shaahi Shayari
safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha

Ghazal

Safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha

Javed Shaheen

;

safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha
koi sitara khule baadban pe rakkha tha

bhula gaya hai mujhe guftugu ke sare maze
bas ek lafz tha pal bhar zaban pe rakkha tha

wo ek KHak sa manzar bas ab bahut hai mujhe
uTha ke jo kabhi qirtas-e-jaan pe rakkha tha

main kya gaya ki hua KHushk chashma-e-mahtab
abhi to pahla qadam aasman pe rakkha tha

usi ko 'shahin' muqarrar kiya hai ja-e-visal
kanara-e-shab-e-hijran jahan pe rakkha tha