safar ka ek naya silsila banana hai
ab aasman talak rasta banana hai
talashte hain abhi ham-safar bhi khoe hue
ki manzilon se udhar rasta banana hai
sameTna hai abhi harf harf husn tera
ghazal ko apni tera aaina banana hai
mujhe ye zid hai kabhi chand ko asir karun
so ab ke jhil mein ek daera banana hai
sukut-e-sham-e-alam tu hi kuchh bata ki tujhe
kahan pe KHwab kahan rat-jaga banana hai
usi ko aankh mein taswir karte rahte hain
ab us se haT ke hamein aur kya banana hai
dar-e-hawas pe kahan tak jhukaen sar 'shahbaz'
zaruraton ko kahan tak KHuda banana hai
Ghazal
Safar ka ek naya silsila banana hai
Shahbaz Khwaja