safar jis mein na ho to ham-safar achchha nahin lagta
gawara kar liya jae magar achchha nahin lagta
jo sach puchho to ghar ki sari raunaq us ke dam se hai
wo jaan-e-jaan na ho ghar mein to ghar achchha nahin lagta
hatak-amez nazron se koi dekhe jahan hum ko
qadam rakhna bhi us dahliz par achchha nahin lagta
KHudawanda tera banda jo mange us ko mil jae
dua-e-dil ho mahrum-e-asar achchha nahin lagta
kisi ki justuju hai jo liye phirti hai barson se
hamein phirna agarche dar-ba-dar achchha nahin lagta
taKHayyul ko par-e-parwaz dena bhi zaruri hai
baghair us ke KHalaon ka safar achchha nahin lagta
har ek pal nit-nae jalwon ki shaidai hon jo aankhen
koi ek chehra un ko raat-bhar achchha nahin lagta
kisi sarkash ke aage sar agar jabran bhi jhuk jae
wabaal-e-dosh ho jata hai sar achchha nahin lagta
meri rudad-e-gham par tursh lahje mein kaha us ne
ye rona roz-o-shab sham-o-sahar achchha nahin lagta
rulata bhi hai wo zalim mujhe phir ye bhi kahta hai
tera daman hai kyun ashkon se tar achchha nahin lagta
uchhaala karte hain aksar 'waqar' auron ke aibon ko
wo jin ko parda-poshi ka hunar achchha nahin lagta

Ghazal
Safar jis mein na ho to ham-safar achchha nahin lagta
Waqar Manvi