safar hi shart-e-safar hai to KHatm kya hoga
tumhaare ghar se udhar bhi ye rasta hoga
zamana saKHt giran KHwab hai magar ai dil
pukar to sahi koi to jagta hoga
ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu
KHushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga
mera fasana har ek dil ka majra to na tha
suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga
phir aaj sham se paikar jaan o tan mein hai
phir aaj dil ne kisi ko bhula diya hoga
wida kar mujhe ai zindagi gale mil ke
phir aisa dost na tujh se kabhi juda hoga
main KHud se dur hua ja raha hun phir 'aKHtar'
wo phir qarib se ho kar guzar gaya hoga
Ghazal
Safar hi shart-e-safar hai to KHatm kya hoga
Akhtar Saeed Khan