safar hai zehn ka to koi rahnuma le ja
mera sukut na ho to mari sada le ja
har ek samt hai dasht-e-sukut ki wusat
bacha ke ye rawish-e-arz-e-muddaa le ja
main zer-e-sang isi tirgi mein ji lunga
tu apni narm shuaon ka qafila le ja
kuchh aur chaT le sahra-e-gumrahi ka namak
jo aa gaya hai tu rahon ka zaiqa le ja
bikhar ke chhuT na jaun teri giraft se main
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-ada le ja
Ghazal
Safar hai zehn ka to koi rahnuma le ja
Alimullah Hali