safar hai mera apne Dar ki taraf
meri ek zat-e-digar ki taraf
bhare shahr mein ek bayaban bhi tha
ishaara tha apne hi ghar ki taraf
mere waste jaane kya laegi
gai hai hawa ek khanDar ki taraf
kinara hi kaTne ki sab der thi
phisalte gae hum bhanwar ki taraf
koi darmiyan se nikalta gaya
na dekha kisi ham-safar ki taraf
teri dushmani KHud hi mail rahi
kisi rishta-e-be-zarar ki taraf
rahi dil mein hasrat ki 'bani' chalen
kisi manzil-e-pur-KHatar ki taraf

Ghazal
Safar hai mera apne Dar ki taraf
Rajinder Manchanda Bani