safar hai KHatm magar be-ghari na jaegi
hamare ghar se ye paighambari na jaegi
nazar ganwa bhi chuke tujh ko dekhne wale
ufuq ufuq teri jalwa-gari na jaegi
main apne KHwab tarashun inhen bikherun bhi
meri sarisht se ye aazari na jaegi
hasin hai shisha-o-ahan ka imtizaj magar
teri siyasat-e-ahan-gari na jaegi
main sab ke zaKHm chunun phir unhen zabanen dun
bala se dil ki mere abtari na jaegi
agarche sard bahut hai dayar-e-qutub-e-shumal
suKHan-waron ki suKHan-parwari na jaegi
Ghazal
Safar hai KHatm magar be-ghari na jaegi
Wali Alam Shaheen