safar hai dushwar KHwab kab tak bahut paDi manzil-e-adam hai
'nasim' jago kamar ko bandho uThao bistar ki raat kam hai
'nasim' ghaflat ki chal rahi hai umanD rahi hain qaza ki ninden
kuchh aisa soe hain sone wale ki jagna hashr tak qasam hai
jawani-o-husn-o-jah-o-daulat ye chand anfas ke hain jhagDe
ajal hai istada dast-basta nawed-e-ruKHsat har ek dam hai
basan-e-dast-e-sawal sail tahi hon har ek muddaa se
niyaz hai be-niyaziyon se baghal mein dil surat-e-sanam hai
maal-e-kar-e-jahan-e-fani kabhi nahin ek qaede par
jo chaar din hai wufur-e-rahat to baad is ke gham-o-alam hai
daregh karna na zor-e-bazu miTa le sari kuduraton ko
hawas na rah jae koi qatil ki sar tah-e-KHanjar-e-do-dam hai
zaban roko bahak rahe ho surur-e-do-shina josh par hai
mai-e-visal-e-shab-e-tamanna har ek lab se abhi baham hai
ye misra-e-muKHbir-e-musibat kamal hum ko pasand aaya
'nasim' jago kamar ko bandho uThao bistar ki raat kam hai
Ghazal
Safar hai dushwar KHwab kab tak bahut paDi manzil-e-adam hai
Naseem Dehlvi