safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log ruKHsat hue kab yaad nahin
awwalin qurb ki sarshaari mein
kitne arman the jo ab yaad nahin
dil mein har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
wo sitara thi ki shabnam thi ki phul
ek surat thi ajab yaad nahin
kaisi viran hai guzar-gah-e-KHayal
jab se wo aariz o lab yaad nahin
bhulte jate hain mazi ke dayar
yaad aaen bhi to sab yaad nahin
aisa uljha hun gham-e-duniya mein
ek bhi KHwab-e-tarab yaad nahin
rishta-e-jaan tha kabhi jis ka KHayal
us ki surat bhi to ab yaad nahin
ye haqiqat hai ki ahbab ko hum
yaad hi kab the jo ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaghan 'nasir'
dil ke bujhne ka sabab yaad nahin
Ghazal
Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
Nasir Kazmi