safar bhi koi na ho rahguzar bhi koi na ho
hamare baad KHarab is qadar bhi koi na ho
sab us hujum mein gum hona chahte hain jahan
pata-Thikana bhi KHair-o-KHabar bhi koi na ho
KHuda wo din na dikhae ki in dayaron mein
sab aankhen rakhte hun aur dida-war bhi koi na ho
zamana kash na aae ki phul phal ke baghair
faqat gharon ka ho jangal shajar bhi koi na ho
zamin na bain kare mehrban man ki tarah
karo kuchh aisa kisi ka zarar bhi koi na ho
phir us jahan mein kaise rahen kahan jaen
watan bhi koi na ho aur ghar bhi koi na ho
hamein zamin pe utara gaya zawal ke waqt
yahi baja hai to phir nauhagar bhi koi na ho
Ghazal
Safar bhi koi na ho rahguzar bhi koi na ho
Asad Badayuni