safar-ba-KHair pa raKHt-e-safar na le jaana
zamin ki hasraten ab chand par na le jaana
widaa ki sham inhi sahilon pe rahne do
uTha ke dasht kahin apne ghar na le jaana
meri thaki hui zulmat-gurez palkon se
kahin umid-e-numud-e-sahar na le jaana
mata-e-arz tha dharti pe lauT aaya hai
kisi ko arsh pe bar-e-digar na le jaana
ye pas hoga to tum sa talash kar lunga
chale to ho mera husn-e-nazar na le jaana
Ghazal
Safar-ba-KHair pa raKHt-e-safar na le jaana
Sayed Naseer Shah