safai us ki jhalakti hai gore sine mein
chamak kahan hai ye almas ke nagine mein
na tui hai na kanari na gokhru tis par
saji hai shoKH ne angiya bunat ke mine mein
jo puchha main kahan thi tu hans ke yun boli
main lag rahi thi us angiya mui ke sine mein
paDa jo hath mera sine par to hath jhaTak
pukari! aag lage ui is qarine mein
jo aisa hi hai to ab hum na roz aawenge
kabhu jo aae to hafte mein ya mahine mein
kabhu maTak kabhi bas bas kabhu piyala paTak
dimagh karti thi kya kya sharab pine mein
chaDhi jo dauD ke koThe pe wo pari ek bar
to main ne ja liya us ko udhar ke zine mein
wo pahna karti thi angiya jo surKH lahi ki
lipaT ke tan se wo tar ho gai pasine mein
ye surKH angiya jo dekhi hai us pari ki 'nazir'
mujhe to aag si kuchh lag rahi hai sine mein

Ghazal
Safai uski jhalakti hai gore sine mein
Nazeer Akbarabadi