safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aaKHir
taghayyur aab-e-bar-ja-manda ka pata hai rang aaKHir
na ki saman-e-aish-o-jah ne tadbir wahshat ki
hua jam-e-zumurrad bhi mujhe dagh-e-palang aaKHir
KHat-e-nau-KHez nil-e-chashm zaKHm-e-safi-e-ariz
liya aaina ne hirz-e-par-e-tuti ba-chang aaKHir
hilal-asa tahi rah gar kushadan-ha-e-dil chahe
hua mah kasrat-e-sarmaya-andozi se tang aaKHir
taDap kar mar gaya wo said-e-baal-afshan ki muztar tha
hua nasu-e-chashm-e-taziyat chashm-e-KHadang aaKHir
likhi yaron ki bad-masti ne maiKHane ki pamali
hui qatra-fishani-ha-e-mai-baran-e-sang aaKHir
'asad' parde mein bhi aahang-e-shauq-e-yar qaem hai
nahin hai naghme se KHali KHamidan-ha-e-chang aaKHir
Ghazal
Safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aaKHir
Mirza Ghalib