saf-e-hayat se jab koi tishna-kaam aaya
nizam-e-saqi-e-mahfil pe ittiham aaya
mila bhi to wo gham-e-zindagi ke kaam aaya
mere liye har ek aansu mein ek jam aaya
lab-e-kalim pe aaya na phir sawal koi
hazar barq-e-pasheman ka phir payam aaya
adu ko baKHsh diye hum ne kausar-o-tasnim
ye kis ke honTon ko chhu kar hamara jam aaya
khaDa hun der se gum zist ke dorahe par
jo karwan se chuTata hai wo maqam aaya
koi musawwir-e-hasti ka shahkar bhi hai
abhi talak to har ek naqsh-e-na-tamam aaya
harif ban ke jahan jab miTa saka na hamein
to dost ban ke mohabbat ka le ke nam aaya
mujhe miTa ke wo thoDi hi der KHush se rahe
phir us ke baad mohabbat ka intiqam aaya
KHusha wo saat-e-firdaus jab ki pahle pahal
kisi ke lab pe zara ruk ke apna nam aaya
rah-e-hayat hai suni maqam-e-ishq ke baad
yahan talak to har ek dil subuk-KHiram aaya
hansun ki roun main apni hayat par 'mulla'
hawa se bach ke sahar tak charagh-e-sham aaya
Ghazal
Saf-e-hayat se jab koi tishna-kaam aaya
Anand Narayan Mulla

