sadme jhelun jaan pe khelun us se mujhe inkar nahin hai
lekin tere pas wafa ka koi bhi mear nahin hai
ye bhi koi baat hai aaKHir dur hi dur rahen matwale
harjai hai chand ka joban ya panchhi ko pyar nahin hai
ek zara sa dil hai jis ko toD ke bhi tum ja sakte ho
ye sone ka tauq nahin ye chandi ki diwar nahin hai
mallahon ne sahil sahil maujon ki tauhin to kar di
lekin phir bhi koi bhanwar tak jaane ko tayyar nahin hai
phir bhi wahi sailab-e-hawadis jaane do ai sahil walo
ya is bar safina Duba ya us ke manjdhaar nahin hai
qaid-e-qafas ke baad karega qaid-e-gulistan kaun gawara
ab bhi wahi zanjiren hain go pahli si jhankar nahin hai
Ghazal
Sadme jhelun jaan pe khelun us se mujhe inkar nahin hai
Qateel Shifai