اردو हिंदी
Sadme guzre iza guzri | Shaahi Shayari
sadme guzre iza guzri

Ghazal

Sadme guzre iza guzri

Rind Lakhnavi

;

sadme guzre iza guzri
hijr mein tere kya kya guzri

hijr mein jaan rahi ya guzri
'rind' kaho tum par kya guzri

kya kahun tujh se haal-e-furqat
guzri jo kuchh jaana guzri

ulfat-e-but ne kar diya kafir
ye kya bar-e-KHudaya guzri

aae nahin tum arsa guzra
mana kiya kis ne kya guzri

guzre jis dam hum duniya se
hum ne jaana duniya guzri

bahr-e-jahan mein zist hamari
shakl-e-habab-e-dariya guzri

kis se kahiye kaun sunega
kya kya guzra kya kya guzri

kahta tha main ishq se baz aa
dekha jo dil-e-shaida guzri

mar bhi gae hum wah-ri ghaflat
un ko KHabar bhi na asla guzri

ab to hai shaghl-e-KHun-ashami
naubat-e-jam-o-mina guzri

kafir par bhi na guzre aisi
hum par jo but-e-tarsa guzri

waqt-e-marg ye ji mein guzra
zindagi apni beja guzri

nala kaisa aah nahin ki
kya kya tujh bin iza guzri

TuT chuka hai rishta-e-ulfat
yas hai ab to tamanna guzri

dusra tujh sa koi na dekha
pesh-e-nazar ek duniya guzri

dekh ke haal-e-mariz-e-furqat
haalat hum pe masiha guzri

qabil-e-did na dekhin aankhen
muddat nargis-e-shahla guzri

ghash kyun aaya hum se to kahiye
kya kuchh hazrat-e-musa guzri

kyun-kar jheli aafat-e-furqat
'rind' kaho dil par kya guzri