sadma to hai mujhe bhi ki tujh se juda hun main
lekin ye sochta hun ki ab tera kya hun main
bikhra paDa hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe DhunDta hun main
main KHud-kushi ke jurm ka karta hun e'tiraf
apne badan ki qabr mein kab se gaDa hun main
kis kis ka nam laun zaban par ki tere sath
har roz ek shaKHs naya dekhta hun main
kya jaane kis ada se liya tu ne mera nam
duniya samajh rahi hai ki sach-much tera hun main
pahuncha jo tere dar pe to mahsus ye hua
lambi si ek qatar mein jaise khaDa hun main
le mere tajrabon se sabaq ai mere raqib
do-chaar sal umr mein tujh se baDa hun main
jaga hua zamir wo aaina hai 'qatil'
sone se pahle roz jise dekhta hun main
Ghazal
Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main
Qateel Shifai