sadiyon tumhaari yaad mein shamen jalaenge
pal bhar ke baad phir bhi tumhein bhul jaenge
tamir muddaa talab-e-zauq ho gai
buniyaad-e-dard hogi to diwar uThaenge
ab kahish-e-junun ka koi silsila nahin
han be-dili se dast-e-dua bhi uThaenge
ai karwan-e-tez-qadam mandgan ko dekh
aankhon mein kya ghubar-e-sar-e-rah sajaenge
likkhenge qahqahon se bas ek dastan-e-dil
us par hadis-e-dard ka unwan jamaenge
yunhi sahi jo garmi-e-bazar hum se hai
hum bech kar zamir-e-nazar muskuraenge
ya chaak-e-dil ko chaak-e-gareban bana saken
ya duKHtaran-misr se daman bachaenge
kya raKHsh-e-umr hila-e-marg-ashna nahin
uTThegi mauj-e-reg-e-rawan Dub jaenge
harf-ashna na hogi koi mauj-e-dard-e-dil
sine pe rakh ke hath magar baiTh jaenge

Ghazal
Sadiyon tumhaari yaad mein shaMein jalaenge
Shafqat Tanveer Mirza