sadiyon tawil raat ke zanu se sar uTha
suraj ufuq se jhank raha hai nazar uTha
itni buri nahin hai khanDar ki zamin bhi
is Dher ko sameT nae baam-o-dar uTha
mumkin hai koi hath samundar lapeT de
kashti mein sau shigaf hon langar magar uTha
shaKH-e-chaman mein aag laga kar gaya tha kyun
ab ye azab-e-dar-badri umr bhar uTha
manzil pe aa ke dekh raha hun main aaina
kitna ghubar tha jo sar-e-rahguzar uTha
sahra mein thoDi der Thaharna ghalat na tha
le gard-baad baiTh gaya ab to sar uTha
dastak mein koi dard ki KHushbu zarur thi
darwaza kholne ke liye ghar ka ghar uTha
'qaisar' mata-e-dil ka KHaridar kaun hai
bazar ujaD gaya hai dukan-e-hunar uTha
Ghazal
Sadiyon tawil raat ke zanu se sar uTha
Qaisar-ul-Jafri