sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha
palkon pe agar mujh ko saja lete to kya tha
tu phail gaya ta-ba-abad mujh se bichhaD kar
main jism ke zindan mein tujhe DhunD raha tha
han mujh ko tere surKH kajawe ki qasam hai
is rah mein pahle koi ghungru na baja tha
guzre the mere samne tum dosh-e-hawa par
main dur kahin ret ke Tile pe khaDa tha
sine mein ubharte hue suraj ka talatum
aankhon mein teri Dubti raaton ka nasha tha
guzra na udhar se koi patthar ka pujari
muddat se main us rah ke mathe pe saja tha
jab waqt ki dahliz pe shab kanp rahi thi
shoala sa mere jism ke aangan se uTha tha
ab jaaniye kya naqsh hawaon ne banae
us ret pe main ne to tera nam likha tha
ai dida-e-hairan tu zara aur qarib aa
ai DhunDne wale main tujhe DhunD raha tha
achchha hai 'rashid' aankh bhar aai hai kisi ki
is KHushk samundar mein to main Dub chala tha
Ghazal
Sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha
Rasheed Qaisrani

