sadiyon se insan ye sunta aaya hai
dukh ki dhup ke aage sukh ka saya hai
hum ko in sasti KHushiyon ka lobh na do
hum ne soch samajh kar gham apnaya hai
jhuT to qatil Thahra is ka kya rona
sach ne bhi insan ka KHun bahaya hai
paidaish ke din se maut ki zad mein hain
is maqtal mein kaun hamein le aaya hai
awwal awwal jis dil ne barbaad kiya
aaKHir aaKHir wo dil hi kaam aaya hai
itne din ehsan kiya diwanon par
jitne din logon ne sath nibhaya hai
Ghazal
Sadiyon se insan ye sunta aaya hai
Sahir Ludhianvi