sadiyon lahu se dil ki hikayat likhi gai
meri wafa gai na teri be-ruKHi gai
dil de ke us ko chhuT gae apne-ap se
is se chhuTe to hath se duniya chali gai
yaad aai apni KHana-KHarabi bahut mujhe
diwar jab bhi shahr mein koi chuni gai
us ko bhi chheD-chhaD ka andaz aa gaya
dekha mujhe to jaan ke angDai li gai
naKHun ke chand zulf ke baadal labon ke phul
kis ehtimam se tujhe tashkil di gai
lamhe ko zindagi ke liye kam na jaaniye
lamha guzar gaya to samajhiye sadi gai
tum kya piyoge chum ke rakh do labon se jam
'tasnim' ye sharab hai kitnon ko pi gai
Ghazal
Sadiyon lahu se dil ki hikayat likhi gai
Tasneem Faruqi