اردو हिंदी
Sadiyon ke rang-o-bu ko na DhunDo guphaon mein | Shaahi Shayari
sadiyon ke rang-o-bu ko na DhunDo guphaon mein

Ghazal

Sadiyon ke rang-o-bu ko na DhunDo guphaon mein

Saleem Shahzad

;

sadiyon ke rang-o-bu ko na DhunDo guphaon mein
aao kisi se puchho pata un ka ganw mein

ghabra ke bulbule ne samundar ki zat se
phaila diya wajud ko sari dishaon mein

aawaz KHud ko do to mile kuchh jawab bhi
aaKHir pukarte ho kise tum KHalaon mein

DhunDo to dewtaon ke aadarsh hain bahut
par aadmi ka rang kahan dewtaon mein

jogi ko aaj rup ka wardan mil gaya
Thahra jo do ghaDi tere pipal ki chhanw mein

tha naz mujh ko jis ki shanasai par wahi
phaila raha hai zahr mere aashnaon mein

aaseb hasraton ka unhen khae hai 'salim'
kaTti thi jin ki raat kabhi apsaraon mein