sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main
lagta hai pahle jurm ko dohra raha hun main
pur-haul wadiyon ka safar hai bahut kaThin
le ja raha hai shauq chala ja raha hun main
KHali hain donon hath aur daman bhi tar tar
kyun ek musht-e-KHak pe itra raha hun main
shauq-e-visal-e-yar mein ek umr kaT di
ab baam o dar saje hain to ghabra raha hun main
shayad waraq hai paDh liya koi hayat ka
ban kar faqih-e-shahr jo samjha raha hun main
sahil pe baiTha dekh ke maujon ka iztirab
uljhi hui si gutthiyan suljha raha hun main

Ghazal
Sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main
Zulfiqar Naqvi