sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai
shahanshah ki rasai ko faqiri tham leti hai
ulajh kar rang-o-bu mein ishq ki masum si bachchi
miThai ki dukanon mein jalebi tham leti hai
main us ke ru-ba-ru har baat apni bhul jata hun
wo kuchh kahne jo aati hai saheli tham leti hai
ye kis ka dil dukha kar apne ganw se main nikla hun
gali har moD par meri kalai tham leti hai
bayan apna badal kar aa gaya hai jab se fariyaadi
gawahi dene walon ko kachehri tham leti hai
karam ka shukriya lekin na samho na-samajh hum ko
nawazish ka har ek maqsad gharibi tham leti hai
koi KHushbu jawan hoti hai mere ganw mein jab bhi
hawa yun ruKH badalti hai haweli tham leti hai
meri sairabiyon ko tishnagi par chhoD do yaro
ye nagin KHud-ba-KHud apna madari tham leti hai
yahan ek shama raushan karna bhi aasan nahin itna
zara si chuk hone par hatheli tham leti hai
qasida kya likhun 'sagar' tumhaari shan-o-shaukat ka
yahan to baadshahat bhi kaTori tham leti hai
Ghazal
Sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai
Taufeeq Sagar