sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai
ki main ne har aawaz teri suni hai
udasi ke aangan mein teri talab ki
ajab KHushnuma ek kali khil rahi hai
naya rang tha us ka kal waqt-e-ruKHsat
ki jaise kisi baat par barhami hai
use de ke sab kuchh main ye sochta hun
use aur kya dun abhi kuchh kami hai
wahi lamha lamha lahakna abhi tak
abhi tak usi yaad ki sholagi hai
sabilen mere nam ki aur bhi hain
magar pyas mujh ko teri bund ki hai
tera nam lun samne sab ke 'haali'
ye chahat mere dil ko ab kaTti hai
Ghazal
Sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai
Alimullah Hali