sadaen dete hue aur KHak uDate hue
main apne aap se guzra hun tujh tak aate hue
phir us ke baad zamane ne mujh ko raund diya
main gir paDa tha kisi aur ko uThate hue
kahani KHatm hui aur aisi KHatm hui
ki log rone lage taliyan bajate hue
phir us ke baad ata ho gai mujhe tasir
main ro paDa tha kisi ko ghazal sunate hue
KHaridna hai to dil ko KHarid le fauran
khilaune TuT bhi jate hain aazmate hue
tumhaara gham bhi kisi tifl-e-shir-KHar sa hai
ki ungh jata hun main KHud use sulate hue
agar mile bhi to milta hai rah mein 'faris'
kahin se aate hue ya kahin ko jate hue
Ghazal
Sadaen dete hue aur KHak uDate hue
Rehman Faris