اردو हिंदी
Sada za-faiz-e-asar KHamushi na ban jae | Shaahi Shayari
sada za-faiz-e-asar KHamushi na ban jae

Ghazal

Sada za-faiz-e-asar KHamushi na ban jae

Mushaf Iqbal Tausifi

;

sada za-faiz-e-asar KHamushi na ban jae
jo baat kah na sakun aap hi na ban jae

kis intizar mein hai ghar ka band darwaza
hawa bhi saya-e-zanjir hi na ban jae

wo ghuT ke mar hi na jae jo mere andar hai
mera wajud hi meri nafi na ban jae

teri wafa meri nas nas mein zahr bhar degi
ye dosti bhi teri dushmani na ban jae

tumhaare mathe pe ubhri hai jo shikan ki tarah
yahi lakir bhaTak kar hansi na ban jae

uThaun nazm ka ghunghaT to samne tum ho
ghazal kahun to tumhaari chhabi na ban jae