sada wo deta bhi hoga to kya KHabar mujh ko
jo sunne de ye mashinon ka shor-o-shar mujh ko
ajib dasht hun main bhi ki ek ek zarra
uDae phirta hai muddat se dar-ba-dar mujh ko
har ek se puchhta phirta hai mera nam-o-nishan
guzar gaya tha kabhi sahal jaan kar mujh ko
hawa wo dur se deta hai apne daman ko
qarib aata nahin jaan kar sharar mujh ko
main apne qatl ka ilzam kisi ko dun 'rahi'
mila hai apna hi daman lahu mein tar mujh ko
Ghazal
Sada wo deta bhi hoga to kya KHabar mujhko
Ghulam Murtaza Rahi

