اردو हिंदी
Sada rahegi yahi rawani rawan hai pani | Shaahi Shayari
sada rahegi yahi rawani rawan hai pani

Ghazal

Sada rahegi yahi rawani rawan hai pani

Shabbir Shahid

;

sada rahegi yahi rawani rawan hai pani
bahao is ka hai jawedani rawan hai pani

bahaw mein bah rahe hain mausam nigah manzar
bahae jata hai sab ko pani rawan hai pani

kabhi the in raston mein qarye makan chehre
ye dastan hai magar purani rawan hai pani

na ab wo sahil na ab wo hasti na wo fasilen
na us zamin ki koi nishani rawan hai pani

wahan wo aqlim jis pe sikka rawan tha apna
yahan hawaon ki hukmarani rawan hai pani

wo raat din bhi isi rawani mein bah chuke hain
bikhar chukin wo ruten suhani rawan hai pani

yahan main dohra raha hun pahle safar ki baaten
magar kahan ab wo shadmani rawan hai pani

ye ashk dhundla rahe hain paiham miTa rahe hain
nigah mein yaad ki kahani rawan hai pani

wo mahfilen hain na ab wo sathi rahe hain baqi
na ab wo bachpan na wo jawani rawan hai pani