sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka
ye daulat-e-dil baham na hoti to kaun pursan tha aarzu ka
umaD ke aaya hai ai azizo rawish rawish sail rang-o-bu ka
magar na phir bhi nasib chamka agar meri KHak-e-be-numu ka
misal-e-subh-e-bahaar tu hai to main hun sham-e-KHizan ki surat
chaman chaman KHar-o-KHas se mere farogh hai tere rang-o-bu ka
base to mere masham-e-jaan mein mahak tere nama-e-nafas ki
khule to parcham kabhi mere dosh par teri zulf-e-mushkbu ka
musafiran-e-safina-e-jaan rawan hain kin manzilon ki jaanib
hawa ki zad par shab-e-siyah mein alam kiye baadban lahu ka
qaba-e-jaan tar tar apni hui bahut kawish-e-rafu mein
magar isi se khula hai aaKHir bharam har ek chaak har rafu ka
jo mere ehsas-e-be-zaban ko zaban mili to chamak uTha hai
sharara ban kar kahin nawa ka charagh ban kar kahin pe lu ka
Ghazal
Sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka
Jamal Panipati