sada-o-KHamshi ke darmiyan Thaharta hai
tera KHayal suKHan mein kahan Thaharta hai
hamari qaid hamare isi KHayal se hai
hamare raste mein ek makan Thaharta hai
rawish rawish jo hai paida nazar ke samne wo
zara sa dekhne par sab nihan Thaharta hai
agar wo wasl ka lamha hamein mayassar ho
to sara ishq hi kar-e-ziyan Thaharta hai
Thahar ke dekh ghaDi-bhar ke waste 'sani'
maqam kya hai jahan ye jahan Thaharta hai
Ghazal
Sada-o-KHamshi ke darmiyan Thaharta hai
Mahender Kumar Sani