اردو हिंदी
Sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale | Shaahi Shayari
sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale

Ghazal

Sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale

Jameel Yusuf

;

sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale
teri nazar se fusun-e-bahaar le ke chale

tere jamal ki subh-e-jawan thi aankhon mein
jabin pe sham-e-sitam ka ghubar le ke chale

rah-e-wafa mein mata-e-safar ki baat na puchh
bas ek zindagi-e-mustaar le ke chale

na yar lutf pe mail na shahr dard-shanas
kahan ye hum dil-e-ummid-war le ke chale

talab ki rah mein ek ye bhi hadisa guzra
hum apne zauq-e-nazar ka waqar le ke chale